Iran sirf Ziyarat ka mulk nahi – Isfahan ki masjidein aur pul, Shiraz ka Persepolis, Kish ke beach aur Shomal ke jungle aur pahar bhi dekhne layak hain. Bohat se Pakistani khandaan Mashhad aur Qom ke saath 3–4 din kisi aur shehar mein guzarte hain.
Kaunsa shehar kis ke liye?
| Shehar | Kya khaas hai | Behtareen mausam |
|---|---|---|
| Isfahan | Naqsh-e Jahan square, neeli masjidein, purane pul, bazaar | March–May, Sept–Nov |
| Shiraz | Persepolis, Pink Mosque, Shah Cheragh, baghaat | March–May, autumn |
| Kish Island | Beach, shopping, water sports – family aur honeymoon | October–April |
| Shomal (North Iran) | Jungle, pahar, Masuleh gaon, Caspian Sea | May–October |
| Tabriz | Bara bazaar, Blue Mosque, Kandovan gaon | May–October |
Pohanchein kaise?
Pakistan se seedhi flights Mashhad aur Tehran jati hain – dekhein Pakistan to Iran flights. Tehran se Isfahan, Shiraz, Tabriz aur Shomal road, train ya domestic flight se jaate hain; Kish ke liye domestic flight leni parti hai.
Ziyarat ke saath tour
Aam plan: pehle Mashhad, phir Qom, aur wapsi se pehle Isfahan ya Shiraz. Ziyarat wala hissa package builder mein live rates ke saath banayein, aur WhatsApp par batayein ke kaunsa shehar add karna hai.
Kharcha
Flight ke taaza rate Iran Ziyarat ka kharcha guide aur flight pages par hain. Tour ka rate dinon, logon, hotel aur transport par depend karta hai – apni dates aur kitne log WhatsApp karein, hamara Karachi office plan aur rate bhej dega. Visa ki maloomat bhi WhatsApp par milti hai.